Wednesday, October 11, 2006

Raah pe kaante bikhre agar

Raah pe kaante bikhre agar
Uspe to fir bhee chalna hee hai
Shaam chupa le suraj magar
Raat ko ek din dhalna hee hai
Rut ye tal jaayegee
Himmat rang laayegee
Subah fir aayegee

Hogee hame jo rehmat ataa
Dhoop kategee saaye tale
Apnee khuda se hai ye dua
Manzil laga le humko gale
Jurrat sau baar rahe
Uncha ikraar rahe
Zinda har pyaar rahe

Ye honsla kaise jhuke...
Ye aarzoo kaise ruke...
Manzil mushkil to kya...
Dhundhla saahil to kya..
Tanha ye dil to kya..

Tuesday, October 10, 2006

माकूल मुश्किलातों कI जवाब लिखा है

माकूल मुश्किलातों कI जवाब लिखा है,
हां हौसला भी बे हिसाब लिखा है,
जुगनुओं के आगे वो हाथ क्यों फ़ैले,
जिसकी लकीरों मैं आफ़ताब लिखा है...!!!

Sunday, August 27, 2006

Fanaa Quotes.... more

Tumhari Khoobsurati ne Khuda se ek Khataa kara di
Kahi khud se nazar na lag jaye, yu kar tumhe nazar na di

Phool hu Gulab ka Chameli ka mat samajhna
Aashiq hu Aapka apni Saheli ka mat samajhna

Baithi hai Hothon ko si kar, pachhtayengi Aaap
Ishq jaag uthta hai Aksar, aisi khamoshi ke baad

Insaan ki khwahish ki koi inteha nahi
Do gazz Zameen chahiye Do gaz kafan ke baad

Dard se aankhe chaar kar lenge
Hum bhi inteha de denge
Teri Dosti ki khatir e dost
Hum Dushmano se bhi Pyaar kar lenge

Humse dur jaoge kaise
Dil se hume bhulaoge kaise
Hum woh khushbu hai jo saanso me basate hai
Khud ki saaanso ko rok paoge kaise

Kahte hai pyaar me neend ud jati hai
Koi hamse bhi mohabbat kar le
Kambakht neend bahut aaati hai

Aisa laga khuda ne, rakh diya hamare dil pe haath
liya naam hamara unhone kuchh aisi adaa ke saath

Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte
Jaam dusro se chhin ke hum piya nahi karte
unko mohabbat hai to aakar izhaar kare
Pichhha hum bhi kisi ka kiya nahi karte

Paani se pyaaas na bujhi to maikhane ki taraf chal nikala
Socha shikayat karu teri khuda se, par woh bhi tera aashiq nikla

Tujhe is baazar ka Main dastoor samajha nahi sakta
Bik gaya ho jo, Woh khariddar nahi ho sakta

Thursday, August 24, 2006

Fanaa Quotes (Shaayaris)

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.

Tere dil mein meri saanson ko panah mil jaaye,
Tere ishk mein meri jaan fanaa ho jaaye.


Phool hun Gulaab kaâ?
Chameli ka mat samjhnaâ?
Aashiq hun aapkaâ?
Apni Saheli ka mat samjhnaâ

RONE DE TU AAJ HAMAKO TU AANKHE SUJANE DE
BAHO ME LELE AUR KHUD KO BHEEG JANE DE
HAI JO SEENE ME QUAID DARIYA WO CHHUT JAYEGA
HAI ITANA DARD KI TERA DAMAN BHEEG JAYEGA....

Tuesday, August 08, 2006

Pee li hai Sharaab

Pee li hai sharab har gali har maikahne se,
Ek dosti si ho gaye hai sharab ke paimane se,
Gujre hain hum kuch aise mukam se,
ki nafrat si ho gaye hai mohabbat ke nam se.

*****************************************

garmii-e-hasarat-e-naakaam se jal jaate hain
ham charaaGon kii tarah shaam se jal jaate hain

bach nikalate hain agar aatih-e-sayyaad se ham
sholaa-e-aatish-e-gulafaam se jal jaate hain

Khudanumaaii to nahiin shevaa-e-arabaab-e-vafaa
jin ko jalanaa ho vo aaraaam se jal jaate hain

shamaa jis aag main jaltii hai numaaish ke liye
ham usii aag main gumanaam se jal jaate hain

jab bhii aataa hai meraa naam tere naam ke saath
jaane kyuuN log mere naam se jal jaate hain

rabtaa baaham pe hamain kyaa na kahenge dushman
aashanaa jab tere paigaam se jal jaate hain

Pyaar ke Us Pal ko.....

pyar ke us pal ko na jane tum kyn bhul gaye ..
pyar ke us ehsaash ko na jane tum kahan kho deeya..
bhulna chahate hai ye dil tera har ek khayal ko...
magar dhadkano me bus chuki ho tum,
na jaane kaise bhuley paunga ye chahat tera aarmaan ka!!!!

Dheere dheere waqt gujarta gaya
aur meri bekarari ka nasha bhi badta gaya
tera intezaar mere sabra ka intihaan hai ya teri bewafai
bas isi kashmakash mein mai pal pal marta gaya

Apki dosti Ki ek nazar chahiye, dil hai beghar use ek ghar chahiye,
bas yuhi sath chalte raho e dost, yeh dosti hamein umar bhar chahiye.

Rabb se aapki khushi mangte hain, duaon mein aapki hansi mangte hain.
Sochte hain kya mange aapse? Chalo, aapse aapki umar bhar ki dosti
mangte hain

Shayaris....

Lamho Lamho per Khwaab Likhoonga,
Apni zindagi per kitaab likhoonga,
Aapki gardaan (neck) ko phoolon ki tehni,
Aur aapke chehre ko gulab likhoonga.

Bahut khushnooma kal ki Raat guzri hai
Kuch tanha par kuch khaas guzri hai
Na neend aayi na Khwaab koi
Bas aap hi ke khayalon ke saath guzri hai

Kaun yaad rakhata hai naamko,
Log to cheharon ko bhi bhul jaate hai,
Aap samandar ki baat karate hai,
Log to aankhon me bhi duub jaate hai !!!

Sunday, August 06, 2006

Lovely friendship SMSes

I refuse to celebrate Friendship Day today. With friends like you, every day is a celebration.
When I think of you only one proverb comes to my mind – “Dog is a man’s best friend”.
True friends are like Diamonds... they are real and rare.
Foolish Rascal Idiot Dud… despite you being all this, you are still my Best Friend!
A true friend is someone who reaches for your hand and touches your heart.
The ship that will never sink is my friendship with you.

Lets Flirt

So guys Frienship Day is coming..... Feeling naughty..... here are the tips for the day..... gud luck:)
Just feel like doing it... I mean, taking you out for coffee in the evening. Coming?
Not that I missed you. Anyway, why did you not come to college today?
Are we going out for dinner tonight?
Now don't say yes!
Honey, what time are you coming back?
Just need to send her off!
Really missed you today. Just thought of telling you..
What's your name anyway!
Did you miss me today? Be frank.